Friday, 22 July 2011

knsi ankh ha

Knsi Ankh ha?
Jis ma ansoo ne basera na kia

Knsa daman ha?
Jisa dukh choo k na guzra

Kis samandr ki lehrain hain?
Jo takra k bikhri na hun

Knsi suba ha?
Jo sham k aghosh ma na khoi ho

Knsa chiragh ha?
Jo Tergi sy waqf na ho

Knsa gunah ha?
Jiski maafi na ho

Phr mayusi k saye,
Ghamgin hawa,
Udasi ka Alam kyun!
Daman ma khushbo k phool,
Muskraht ki kalian samet lo,
Umed k jugnu tham lo!

Umeed Zindgi ha..aur
ye zindgi
"Tera intzar ma ha"


No comments:

Post a Comment