Friday, 22 July 2011

Youn rah-e-wafa ki saleeb par do qadam uthany ka shukriya

..."Youn rah-e-wafa ki saleeb par do qadam uthany ka shukriya^Barra purkhatar tha ye rasta,tere lout janay ka shukriya~~~


..."Teri yaad kiss kiss bhais mein mere shair-o-nagma mein dhal gyi^Ye kamaal hai teri yaad ka,mujhe yaad anay ka shukriya~~~


..."Jo udas hain teri yaad mein,jinhain bhoj lagti hai zindgi^Sar-e-bazm youn inhain dekh kar tere mounh chupanay ka shukriya~~~


..."Jo zamanay bhar ka asool tha,wo asool tou ne nibha diya^Yahi rasam thehray gi mohtabar MUJHE BHOL JANAY KA SHUKRIYA...:::...

No comments:

Post a Comment